nazar pe baiTh gaya jo ghubar kis ka tha
dilon se kam na hua jo sharar kis ka tha
na koi shakl thi dil men na lab pe naam koi
tamam umr mujhe intizar kis ka tha
mire liye to vo Thahra na ek pal-bhar ko
na jaane qafila-e-nau-bahar kis ka tha
ye kis ke husn se yadon ki ban ga.i tasvir
dil-a.ine pe sunahra ghubar kis ka tha
paḌe rahenge isi soch men qayamat tak
hamare ba.ad dil-e-be-qarar kis ka tha
ḳhayal-o-ḳhvab ki raton se jo ubharta hai
vo ek nuur badan ka nikhar kis ka tha
vo adh-khula sa daricha vo chaah ki ḳhushbu
mira nahin tha to phir intizar kis ka tha
ye kis ne shor-e-salasil ko naghmagi de hi
rah-e-vafa men qadam baar baar kis ka tha
tumhare jabr ki ta.id tha mira mansha
samajh men aa na saka iḳhtiyar kis ka tha
ye kis liye su-e-gul bhi nigah jaati thi
tum aa chuke the to phir intizar kis ka tha
miri vafa ka bagula to ek tha lekin
mire siva sar-e-sahra ghubar kis ka tha
bahut dinon se yahi ik saval hai dil men
jo main ne sab ko diya tha vo pyaar kis ka tha
‘munir’ jab bhi chale koi rasta na mila
vajud-e-rahguzar e.atibar kis ka tha
Leave a Reply