nazar kisi ko vo mu-e-kamar nahin aata
ba-rang-e-tar-e-nazar hai nazar nahin aata
zamana-e-gham-e-furqat basar nahin aata
ajal bhi aati nahin yaar agar nahin aata
hamesha huun bhi main rota ba-rang-e-shabnam-o-abr
gali se kaun tire chashm-tar nahin aata
ye hai nigah se dar-parda tegh-zan qatil
ki iltiyam ye zakhm-e-jigar nahin aata
gham-e-firaq men mar mar ke roz jiita huun
vo kaun shab hai jo munh tak jigar nahin aata
faqat na naam se chalta hai kaam duniya men
ki zer-e-sikka kabhi gul ka zar nahin aata
vo lad ke milte nahin mil ke ham pakadte nahin
vo sulh karte nahin ham ko shar nahin aata
firaq-e-zulf men roz uth ke shab ko rota huun
ki sar se gesu-e-shab ta-kamar nahin aata
vo shah-e-husn khafa hoe ‘arsh’ kahta hai
gira jo paanv par kyuun us ka sar nahin aata