Inko Dekha Tha Kahin Yaad Nahin

in ko dekhā thā kahīñ yaad nahīñ

āsmāñ thā ki zamīñ yaad nahīñ

chāñd tāroñ kī muñdī thiiñ āñkheñ

thā kahāñ mehr-e-mubīñ yaad nahīñ

naġhma hī naġhma thā yā rañg hī rañg

ham makāñ the ki makīñ yaad nahīñ

ahd-o-paimāñ kī jhamaktī sham.eñ

kis tarah Duub ga.iiñ yaad nahīñ

ab ye aalam hai ki ḳhud ham ko bhī

kyuuñ hue barq-nashīñ yaad nahīñ

maut pyārī jo lagā kartī hai

is qadar kyuuñ hai ġhamīñ yaad nahīñ

ras bharī sub.heñ nashīlī shāmeñ

kis ke hamrāh ga.iiñ yaad nahīñ

raakh ke Dher haiñ chāroñ jānib

bastiyāñ kaise luTīñ yaad nahīñ

jin kī ta.abīr haiñ aañsū ‘shohrat’

aaj vo ḳhvāb-e-hasīñ yaad nahīñ

Leave a Comment