nasiba jaag uTTha aur muqaddar ban gaya apna
jahan divar hai us ki vahin ghar ban gaya apna
na jaane dhuup ne apni zaban men kya kah us se
shajar ke jism se saaya nikal kar ban gaya apna
hamari aankh se nindon ka rishta toḌne vaale
koi tujh se siva ḳhush-rang paikar ban gaya apna
hamara sar salamat hi raha sang-e-havadis men
jo patthar bhi idhar aaya vo patthar ban gaya apna
safar men saath apne dhuup dariya aur samundar the
hamari ḳhush-nasibi thi samundar ban gaya apna
hava barish samundar ka kinara aur ham donon
kuchh aise kho ga.e manzar men manzar ban gaya apna
yahi barish ka mausam tha hava.en tez thiin us din
bahut bhiga hua tha vo simaT kar ban gaya apna
‘matin’ ik umr guzri hai suḳhan ko aab dene men
tabhi almas-lahja sab se haT kar ban gaya apna
Leave a Reply