nalan hua hai jal kar siine men man hamara
pinjre men bolta hai garm aaj agan hamara
piiri kaman ki jyuun maane nahin akad kuun
hai zoaf biich duuna ab bankpan hamara
chalta hai jiiv jis par jaate hain us ke pichhe
saude men ishq ke hai ab ye chalan hamara
milne ki hikmaten sab aati hain ham ko ik ik
go bu-ali ho launda khata hai fan hamara
majlis men ashiqon ki aur hi bahar ho ja
aave jabhi rangila gul-pairahan hamara
is vaqt jaan pyare ham pavate hain ji sa
lagta hai jab badan se tere badan hamara
ye muskuraona hai to kis tarah jiyunga
tum ko to ye hansi hai par hai maran hamara
izzat hai jauhri ki jo qimti ho gauhar
hai ‘abru’ haman kuun jag men sukhan hamara
Leave a Reply