main hajv ik apne har qaside ki rad men tahrir kar raha huun
ki ap-apne se huun muḳhatab ḳhud apni tahqir kar raha huun
kahan hai fursat nashat o gham ki ki ḳhud ko tasḳhir kar raha huun
lahu men girdab Dalta huun nafas ko shamshir kar raha huun
miri kahani raqam hui hai hava ke auraq-e-muntashir par
main ḳhaak ke rang-e-ghair-fani ko apni tasvir kar raha huun
main sang-o-ḳhisht-e-ana ki barish men kab ka mismar ho chuka huun
ab inkisari ki narm miTTi se apni ta.amir kar raha huun
ye ishq ki hai fusun-tarazi ki vahshaton ki karishma-sazi
kamand ḳhushbu pe Dalta huun hava ko zanjir kar raha huun
shanva-vari ke usuul mujh ko bata.ega koi kya ki main ne
kiya hai maujon ka ḳhair-maqdam bhanvar ki tauqir kar raha huun
tum apne dariyaon par biThao hazar pahre magar mujhe kya
main saare ḳhvabon ko sab sarabon ko apni jagir kar raha huun
Leave a Reply