nako nasihat karo azizan niga hai hamna muhan suun miita
taja huun main riit sab jahan ki jidhan piya suun priit kiita
sanam ki ulfat men dil apas ka rakha tha kar chaak chaak juun gul
kaho rafu-gar jahan men aisa kahan jo dil ka ye chaak siita
jahan ke sayyad ke shikaran tamam mar kar shikar hote
jo dam-e-ulfat men aa gira so mua nahin hai hua hai jiita
abas hai ye fikr ai azizan lage ho rozon ki tum fikar men
ye zindagani hai do dinan ki uḌe hai sar par ajal ka chita
karim tera ye diid mujh ko sada hua hai ghiza ye ruuh ka
‘alim’ ke ta.iin to zindagi se nahin hai parva charan ka hiita
Leave a Reply