naḳhuda ki mushkilen asan kar jaata huun main
apni kashti aap jab tufan se Takrata huun main
un ka har ik qaul aksar be-amal paata huun main
nasehon ki baat ko ḳhatir men kab laata huun main
kis qadar hai na-rasa mera muqaddar dekhiye
ain manzil ke qarib aa kar bhaTak jaata huun main
har balae-e- na-gahan mera muqaddar ban ga.i
har bala se ḳhud ko ab mahfuz-tar paata huun main
jab mohabbat jaan thi iman thi vo din ga.e
ab mohabbat ke tasavvur se bhi ghabrata huun main
be tire jo kuchh guzarti hai mire dil par na puchh
zindagi ko maut ke nazdik-tar paata huun main
main tiri baton men aa kar be-sar-o-saman hua
ab magar ai dil tiri baton men kab aata huun main
muddaten guzrin ki dil ne ki thi un ki aarzu
aaj tak dasht-e-talab men Thokaren khata huun main
zindagi men rang-o-bu ne kis qadar dhoke diye
is pe bhi aasi fareb-e-rang-o-bu khata huun main
Leave a Reply