naḳhl-e-mamnua ke ruḳh dobara gaya main to maara gaya
arsh se farsh par kyuun utara gaya main to maara gaya
jo paḌha tha kitabon men vo aur tha zindagi aur hai
mera iman saare ka saara gaya main to maara gaya
gham gale paḌ gaya zindagi bujh ga.i aql jaati rahi
ishq ke khel men kya tumhara gaya main to maara gaya
mujh ko ghera hai tufan ne is qadar kuchh na aa.e nazar
meri kashti ga.i ya kinara gaya main to maara gaya
mujh ko tu hi bata dast-o-bazu mire kho ga.e hain kahan
ai mohabbat mira har sahara gaya main to maara gaya
ishq chalta bana sha.iri ho chuki mai mayassar nahin
main to maara gaya main to maara gaya main to maara gaya
mudda.i bargah-e-mohabbat men ‘fartash’ the aur bhi
mera hi naam lekin pukara gaya main to maara gaya
Leave a Reply