na.i poshak pahne hai purane ḳhvab ki hasrat
main hans kar Taal deti huun dil-e-betab ki hasrat
mohabbat aur kya hai ik sarab-e-tishnagi to hai
vahi sahra ki cham-cham men chamakte aab ki hasrat
naya kirdar gaḌ.h kar main kahani hi badal deti
magar puuri na ho paa.i na.e ik baab ki hasrat
tumhari yaad ka gahra ta.alluq ansuon se hai
miri palkon ko kya hogi kisi sailab ki hasrat
bas itna soch kar is or kashti moḌ di main ne
nikal jaa.e na kyon kar is dafa girdab ki hasrat
zamin pe thak ke gir ja.un to shayad niind aa jaa.e
ki in ankhon ko hai ik umr se ik ḳhvab ki hasrat
Leave a Reply