nahin uḌa.unga ḳhaak roya nahin karunga
karunga main ishq par tamasha nahin karunga
miri mohabbat bhi ḳhaas hai kyunki ḳhaas huun main
so aam logon men zikr is ka nahin karunga
use batao farar ka naam to nahin ishq
jo kah raha hai main kar-e-duniya nahin karunga
kabhi na socha tha guftugu bhi karunga ghanTon
aur apni baton men zikr tera nahin karunga
iradatan jo kiya hai ab tak ghalat kiya hai
so ab koi kaam bil-irada nahin karunga
tujhe main apna nahin samajhta isi liye to
zamane tujh se main koi shikva nahin karunga
miri tavajjoh faqat mire kaam par rahegi
main ḳhud ko sabit karunga da.ava nahin karunga
agar main haara to maan lunga shikast apni
tiri tarah se koi bahana nahin karunga
agar kisi maslahat men pichhe haTa huun ‘taimur’
to mat samajhna ki ab main hamla nahin karunga
Leave a Reply