nahin jaati agar ye asman tak
to phir is chiḳh ki had hai kahan tak
chalo paani se vo sho.ala nikalen
uTha.e jo zamin ko asman tak
ab agle moḌ par patal hoga
yaqin se aa gaya huun main guman tak
zamane ko samajh paaya nahin huun
main samjhata rahun ḳhud ko kahan tak
ajab ik khel khela ja raha hai
na tha jis ka hamen koi guman tak
bahut hi ḳhubsurat rasta hai
jo sidha ja raha hai ra.egan tak
zamin ke baab men kuchh mashvare hain
zara main ja raha huun asman tak
Leave a Reply