• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ji Uthe Hashr Mein Phir Ji Se Guzarne Wale

Ji Uthe Hashr Mein Phir Ji Se Guzarne Wale

riyaz-khairabadi

ji uthe hashr men phir ji se guzarne vaale

yaan bhi paida hue phir aap pe marne vaale

chuus kar kis ne chhudai hai missi honthon ki

samne munh to karen baat na karne vaale

shab-e-matam ki udasi hai suhani kitni

chhanv men taron ki nikle hain sanvarne vaale

ham to samjhe the ki dushman pe uthaya khanjar

tum ne jaana ki hamin tum pe hain marne vaale

pi ke aae hain kahin haath na bahke vaaiz

dadhi katren na kahin jeb katarne vaale

sin hi kya hai abhi bachpan hi javani men sharik

so rahen paas mire khvab men darne vaale

haath gustakh hain uth jaaen na ye daman par

bach ke niklen mire marqad se guzarne vaale

nazaa men hashr ke vaade ne ye taskin bakhshi

chain se so rahe munh dhanp ke marne vaale

apne daman ko sambhale hue bhole-pan se

vo chale aate hain dil le ke mukarne vaale

sabr ki mere mujhe daad zara de dena

o mire hashr ke din faisla karne vaale

aati hai hur-e-jinan khalvat-e-vaiz ke liye

qabr men utrenge mimbar se utarne vaale

tere ashiq jo gae hashr men ye shor utha

jaaen dozakh men dam sard ke bharne vaale

zer-e-pa dil hi bichhe hon ki hain khugar us ke

farsh-e-gul par bhi nahin paaon vo dharne vaale

ashk-e-gham aise nahin hain jo umand kar rah jaaen

hain ye tufan mire sar se guzarne vaale

kya maza deti hai bijli ki chamak mujh ko ‘riyaz’

mujh se lapte hain mire naam se darne vaale

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tu Ne Kamal Kaam Ye Nadan Kar Diya

poet

Bagh-E-Alam Mein Hai Be-Rang Bayan-E-Waiz

Hawaon Se Har Sham Puchha Karenge

Aks Pani Mein Agar Qaid Kiya Ja Sakta

Raaz-E-Hasti Tishna-E-Tabir Hai Tere Baghair

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet