• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nahin Hai Amn Ka duniya Mein Ab Maqam Koi

Nahin Hai Amn Ka duniya Mein Ab Maqam Koi

poet

nahin hai amn ka duniya men ab maqam koi

khuda khuda kahe koi ki raam raam koi

mire banae to banta nahin hai kaam koi

vo karsaz kare us ka intizam koi

na hoga bazm ka baton se intizam koi

khud apni baat pe tujh ko nahin qayam koi

tumhare ho ke jo ham zillaten uthate hain

zalil hoga kisi ka na yuun ghulam koi

uthao tegh saza do raqib-e-mufsid ko

nasihaton se hua hai kab intizam koi

chhuri se rahm kare pahle kis par ab sayyad

koi qafas men tadapta hai zer-e-dam koi

ye mujh se aankh milata nahin hai kyuun saaqi

mire nasib ka shayad nahin hai jaam koi

jo naam lete hain tera vo qatl hote hain

nahin marega jo lega na tera naam koi

kuchh aur kijiye tadbir kaam ki ‘raghib’

ki haae haae se banta nahin hai kaam koi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hanso to Sath Hansnegi Duniya baiTh Akele Rona Hoga

Phir Koi Mahshar uThane Meri Tanhai Mein Aa

chuTki kaTo Zara Hilao Mujhe

poet

Ki Tere Shahr Se Aati saDak Se Munsalik Hain

Koi Jab Chhin Leta Hai Mata-E-Sabr miTTi Se

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet