naghmagi se sukut behtar tha
main tha aur ik kira.e ka ghar tha
koi mujh sa na dusra aaya
yuun to har shaḳhs mujh se behtar tha
har-taraf qaht-e-ab tha lekin
ek tufan mere andar tha
main bana tha ḳhalifa-e-dauran
yuun ki kanTon ka taaj sar par tha
main musalsal vahan chala ki jahan
do-qadam ka safar bhi dubhar tha
ghir gaya tha main ik jazire men
aur charon taraf samundar tha
ek ik mauj mujh se Takra.i
jurm ye tha ki main shanavar tha
vahshaton men bala ka tha phailav
dasht aur ghar ka ek manzar tha
ek divar darmiyan rahi
varna donon ka ek hi ghar tha
Leave a Reply