na.e sire se koi safar aghaz nahin karta
jaane kyuun ab dil mera parvaz nahin karta
kitni buri aadat hai main ḳhamosh hi rahta huun
jab tak mujh se koi suḳhan aghaz nahin karta
kaise zinda rahta huun main zahr ko pi kar ab
divar-o-dar ko bhi to hamraz nahin karta
taaza hava ke jhonke aksar aate rahte hain
aḳhir kyuun main apne dariche baaz nahin karta
jaane kaisa raag bajana siikh liya dil ne
meri sangat ab koi dam-saz nahin karta
ahl-e-hunar ki ankhon men kyuun chubhta rahta huun
main to apni be-hunari par naaz nahin karta
mujh men kuchh hoga to duniya ḳhud jhuk ja.egi
main neze par sar apna afraz nahin karta
vaqt ke saare chakkar hain ye ‘alam’-ji varna
yahan kisi ko koi nazar-andaz nahin karta
Leave a Reply