nae ghamze nae andaz nazar aate hain
din-ba-din husn ke eajaz nazar aate hain
vo shahid-e-nigah-e-naz nazar aate hain
aj-kal aur hi andaz nazar aate hain
sar jhukae hue chalta huun tire kuche men
kyunki sar-baz hi sar-baz nazar aate hain
bahut unche na ude hain na udenge gesu
ye kabutar to girah-baz nazar aate hain
jhuut khud bolna ulta mujhe jhuta kahna
sach hai dam-bazon ko dam-baz nazar aate hain
bhej to di hai ghazal dekhiye khush hon ki na hon
kuchh khatakte hoe alfaz nazar aate hain
ghamza-o-naz-o-ada mehr-o-vafa jaur-o-jafa
sab ke sab khana-bar-andaz nazar aate hain
lutf aae jo shab-e-vasl moazzin so jaae
kyunki vo gosh-bar-avaz nazar aate hain
umar guzri hamin sarkar pe marte marte
jaan dete hain to jan-baz nazar aate hain
bulbulon se nahin gulzar-e-zamana khali
shukr hai yaan bhi ham-avaz nazar aate hain
bad-gumani bhi mohabbat ka nishan hai ‘parvin’
ghalati ho to ho naraz nazar aate hain
Leave a Reply