na zinda na murda na duniya na diin ka
mujhe tu ne zalim na rakkha kahin ka
abas imtihan men lagate ho vaqfa
bharosa hai kya meri jan-e-hazin ka
mujhe ghar men gardish hai patli ki surat
ye eajaz hai chashm-e-sehr-afrin ka
purana na fitna tire ghar se uttha
naya asman hai magar is zamin ka
kabhi mere tan men kabhi us ke ghar men
yahi shaghl hai meri jan-e-hazin ka
ghazab hai miri us se takrar-e-vaada
sitam hai jo mauqaa mila ab nahin ka
suna tu ne ‘aqil’ ajab raat guzri
mohabbat ka mazkur nikla kahin ka
Leave a Reply