na tumhara husn javan raha na hamara ishq javan raha
na vo tum rahe na vo ham rahe jo raha to gham ka saman raha
na vo baagh hain na ghataen hain na vo phuul hain na fazaen hain
na vo nikhaten na havaen hain na vo be-khudi ka saman raha
na vo dil hai ab na javaniyan na vo ashiqi ki kahaniyan
na vo gham na ashk-fishaniyan na vo dard-e-dil ka nishan raha
na chaman hai vo na bahar hai na vo bulbulen na hazar hai
yahi char-samt pukar hai na vo rut hai ab na saman raha
na vo umr hai na masarraten na vo aish hai na vo ishraten
na vo arzuen na hasraten na khushi ka nam-o-nishan raha
na nishan hai saqi-o-jam ka na vo bada-ha-e-chaman-ada
na mughanniya rahi mahv-e-saz na saaz mast-e-fughan raha
ye bahar-e-gulshan-e-ab-o-gil hai fana asar to hon kyuun khajil
vo gul-e-fasurda hai mera dil ki hamesha nazr-e-khizan raha
nahin sabr saqiya la bhi de qadah-e-bahar utha bhi de
abhi sin hai la ke pila bhi de ki hamesha kaun javan raha
kahun kya ki ranj-rasida huun main ba-rang-e-abr ramida huun
nafas-e-shamim-e-parida huun ki raha tabah jahan raha
asar-e-bahar-e-khizan asar hai ki hai fasurda miri nazar
na hava-e-ishrat-e-bal-o-par na junun-e-bagh-e-jinan raha
main gul-e-ramida-e-rang-o-bu tu bahar-e-mai-kada-e-numu
main hamesha khasta-e-arzu tu hamesha aish-e-javan raha
na sukun-e-dil na qarar-e-jan na qayam-e-sabr koi zaman
ye sarishk-e-gham ka hai karvan ki yunhi hamesha ravan raha
tu mata-e-gul-kada-e-nazar gul-e-nau-bahar-e-bahisht-asar
main vo andalib-e-shikasta par ki hamesha mahv-e-fughan raha
na vo soz-o-saz-e-darun hai ab na vo chashm-e-gul-kada-e-gun hai ab
na vo sar hai ab na junun hai ab na vo zauq-e-shoala-chakan raha
hai falak ki badli hui nazar kahin kisi se ‘akhtar’-e-nala-gar
ki main us ke jaur-e-alam-asar se hamesha mahv-e-fughan raha
Leave a Reply