na phuul huun na sitara huun aur na sho.ala huun
guhar huun dard ka aur ashk ban ke rahta huun
vo ek bachcha hai hasrat se dekhta hai mujhe
main us ke haath men TuuTa hua khilauna huun
ye soch kar ki bichhaḌna hai ek din ḳhud se
main apne-ap se pahron lipaT ke roya huun
ajiib shaḳhs miri zindagi men aaya tha
na yaad rakhun use aur na bhuul sakta huun
laraz rahi hain miri ungliyan qalam thame
na jaane aaj main kya baat likhne vaala huun
mujhe pukar ki main Duub hi na ja.un kahin
main be-qarar samundar men ik jazira huun
guzar chuke hain bahut karvan idhar se ‘sarosh’
magar main apne hi gard-e-safar se lipTa huun
Leave a Reply