chhoḌ har ek ko bura kahna
aisi surat pe tujh ko kya kahna
be-vafaon ko ba-vafa kahna
aap ki baat vaah kya kahna
tum ne kya aib ham men dekha hai
dekho achchha nahin bura kahna
main ne kya kya kaha hai logon se
ek baar aur phir zara kahna
jante kab hain mujh ko apna dost
mante kab hain vo mira kahna
mujh ko ghusse se dekh kar na ruko
dil men jo kuchh bhi aa gaya kahna
main mohabbat men kya karun insaf
koi insaf se zara kahna
aap ko aaj tak nahin aaya
vaqi.a sab se ek sa kahna
ḳhuub naqlen utarte hain aap
afrin vaah vaah kya kahna
kya kaha main kabhi nahin sunta
aur phir us pe aap ka kahna
un ko kahna salam ai qasid
aur darban ko dua kahna
ai safi’ hai abhi to dilli duur
kaun kahta hai aa gaya kahna
Leave a Reply