na nazar ki dida-vari rahi na jigar ki be-jigari rahi
magar ahl-e-da.ava-e-shauq se tiri barham-e-naz bhari rahi
kabhi jaag uTha kabhi so gaya kabhi khil uTha kabhi kho gaya
dil-mast jam-e-jamal ko na ḳhabar na be-ḳhabari rahi
ye ajab havas ka dayar hai yahan aam ana ka ḳhumar hai
mujhe apne sahra se pyaar hai mujhe raas dar-ba-dari rahi
na dil-o-dimagh ko hai sukun na zaman makan ko qarar hai
main safar men huun ki hazar men huun miri zindagi safari rahi
kahin chand jugnu parinda rut kahin rang dhuup dhanak nirt
mire daur men dil-e-muztarib ye ghazal ki shishagari rahi
yahan makr bhi hai jadal bhi hai yahan bal ke saath men chhal bhi hai
fan-e-tesha-gar ke kamal se zan-e-hila-gar hi khari rahi
ye tabassum-e-sar-e-anjuman vo adavaton ke dilon men phan
na.e daur men na.i nasl ki yahi shan-e-dida-vari rahi
jo ḳhuda-shanas nahin hua kabhi ḳhud-shanas na ho saka
vo jo munkirin-e-ḳhuda hue unhen ḳhud se be-ḳhabari rahi
mire fan ke zauq-e-latif ko sanad ahl-e-zauq ki chahiye
magar aaj tak sar-e-anjuman ye talab dhari ki dhari rahi
jo the taliban-e-ilaj-e-gham unhen gahri niind sula diya
na maraz raha na mariz hi ye ghazab ki charagari rahi
Leave a Reply