• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Na Koi Dar Na Daricha Magar Makan to Hai

Na Koi Dar Na Daricha Magar Makan to Hai

na koi dar na daricha magar makan to hai

zamin hai zer-e-qadam sar pe asman to hai

hazar jalvon ka to raz-dan hai a.ina

hui na aankh mayassar tujhe zaban to hai

badalta rahta hai rang asman lamhon men

sitam-shi.ar abhi mujh se ḳhush-guman to hai

gham-e-hayat se ghabra ke tajarbe ke liye

chale hi ja.enge ab dusra jahan to hai

tamam sahra-o-dasht-o-jabal kahen labbaik

azal se phaili fazaon men ik azaan to hai

zahe-nasib jagah thoḌi chashm-e-tar men mili

sulagti dhuup men ik sard sa.eban to hai

mohr-ba-lab huun pa shart-e-kalam qaa.em hai

miri shakeb-e-ayazi ka imtihan to hai

sa.uud fikr-e-taghazzul ko bojh hai to rahe

har ek harf haqiqat ka tarjuman to hai

asar ke sher men husn-o-kashish ki hai taujih

na.i jihat na sahi zeb-e-dastan to hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aaghaz Se Anjam-E-Safar Dekh Raha Hun

afroz-alam

Aap Se Uns Hua Chahta Hai

aazim-kohli

Ehsas Ke Sukhe Patte Bhi Armanon Ki Chingari Bhi

Diwana-Pan Aur Bekari Milti Hai

Nahin Sharik Azabon Ka Jaan-E-Jaan Koi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet