na ḳhuda hai na naḳhuda hai koi
zindagi goya saneha hai koi
na to be-qufl hai daricha-e-zehn
na dar-e-dil khula hua hai koi
na maza gumrahi men milta hai
na sambhalne ka rasta hai koi
main ki tanha tha ab bhi tanha huun
phir bhi mujh se bichhaḌ gaya hai koi
zaat mat dekh karb-e-zat ko dekh
kaise andar se TuTta hai koi
mubtala ruuh ke azaab men huun
kab se dil ko khurach raha hai koi
jaane kis sub.h ki tamanna men
rat-bhar sham.a saan jala hai koi
fursat-e-zindagi bahut kam hai
aur bahut der ashna hai koi
tum bhi sachche ho main bhi sachcha huun
kab yahan jhuuT bolta hai koi
Leave a Reply