Na iKHlas-E-Kaamil Na Be-Dad Puri

na iḳhlās-e-kāmil na be-dād puurī

vafā bhī adhūrī jafā bhī adhūrī

vahī ham vahī tum vahī rañj-e-dūrī

mohabbat meñ kyā fāsla hai zarūrī

ba-īñ rabt-e-bāham ba-īñ zabt-e-paiham

vahī nā-shakebī vahī nā-subūrī

mohabbat kī duniyā mohabbat sarāpā

yahāñ koī ḳhākī na naarī na nuurī

ye sab mantiq-o-falsafa be-haqīqat

abhī tak vahī aql kī be-shu.ūrī

ḳhudī ko ḳhudī koī jaane na jaane

ḳhudā ko ḳhudā mānñā hai zarūrī

Leave a Comment