• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Na Falak Hoga Na Ye Kucha-E-Qatil Hoga

Na Falak Hoga Na Ye Kucha-E-Qatil Hoga

na falak hoga na ye kucha-e-qatil hoga

mire kahne men kisi din jo mira dil hoga

jab numayan vo savar-e-rah-e-manzil hoga

na to main aap men hunga na mira dil hoga

aadhi raat aa ga.i bas bas dil-e-betab sambhal

ham samajhte hain jo is karb ka hasil hoga

ruḳhsat ai vahshat-e-tanha.i-o-ghurbat ruḳhsat

ḳhauf hi kya hai jo hamrah mire dil hoga

raat ka ḳhvab nahin jis ki har ik de ta.abir

ye vo arman hai puura jo ba-mushkil hoga

tera kya zikr hai zindan ki hilegi divar

nala-kash jab koi paband-e-salasil hoga

Taal diin main ne ye kah kah ke ziden bachpan ki

aa.ina bhi koi shai hai jo muqabil hoga

Dubne ja.ega shayad koi mayus visal

majma-e-am suna hai lab-e-sahil hoga

chaud.hvan saal use deta hai muzhda ‘alim’

le mubarak ho ki ab tu mah-e-kamil hoga

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

indira-varma

dost Jab Zi-Waqar Hota Hai

abroo-shah-mubarak

Jalte The Tum Kun dekh Ke Ghair Anjuman Mein Hum

Waise Is Aab-O-Gil Mein Kya Na Hua

Mana Ki Lab-E-zaKHm Duhai Nahin Deta

Aariz Ashkon Se Tere Tar Nahin Dekhe Jate

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet