mujhe maalum hai main aaj kya huun
khuda huun par abhi soya hua huun
sar-e-mahfil main yuun khamosh rah kar
sabhi logon ke tevar dekhta huun
mira maz.hab faqat insaniyat hai
jise har-hal men main pujta huun
nahin us raste ka koi rahbar
ki jis raste pe ab main chal pada huun
mujhe sab dekh kar hairan kyuun hain
main qatil huun koi ya devta huun
bura kahne se pahle soch lena
main jaisa bhi huun lekin aap ka huun
mujhe tum mere andar dhundhte ho
par ik arse se main to lapata huun
Leave a Reply