mujh siin aur dilruba siin hai an-ban
kiya karun fan kuchh avati nahin ban
kuchh nahin aati sarv-qad siin ban
phirta hon gard-bad jiyun ban ban
zulf teri siyah nagan hai
chhin leti hai har kisi ka man
dars siin alam ke hai dil bezar
khub-ruyan ka khuub hai darshan
mujh kuun vaaiz nako nasihat kar
yaar jis siin mile batao fan
yak su ‘yakru’ ka haath pahunchta nahin
kyunke pakdega yaar ka daman
Leave a Reply