muddaton se jo mo.attar tha vo daftar kaaT kar
zard mausam likh diya satar-e-gul-e-tar kaaT kar
dida-e-bina ki ḳhatir tha jo saman-e-nashat
reza reza kar diya kis ne vo manzar kaaT kar
koi khiḌki hi nazar aa.i na darvaza mila
thak ga.e hain paanv divaron ke chakkar kaaT kar
daman-e-shab men hain kitne phuul kya us ko ḳhabar
so gaya koh-e-mashaqqat ko jo din-bhar kaaT kar
kho gaya hai aadmi be-chehragi ke dasht men
le uḌa hai vaqt a.inon ke jauhar kaaT kar
yuun kiya azad zanjir-e-ta.alluq se mujhe
chhoḌ de jaise koi tote ke shah-par kaaT kar
chahte hain sab ko be-mehnat mile shirin hamen
kaun ab la.ega ju-e-shirin patthar kaaT kar
tab kahin paaya kisi ne us ki manzil ka pata
jab masafat qat.a ki ḳhud ko sarasar kaaT kar
tirgi men tha jo ‘mahir’ sham-e-raushan ki misal
ḳhaak par phenka hai kis zalim ne vo sar kaaT kar
Leave a Reply