mohabbat ho ga.i jis ko use ab dekhna kya hai
bhala kya hai bura kya hai saza kya hai jaza kya hai
zara tum samne aao nazar ham se to Takrav
kise phir hosh ho tum ne kaha kya hai suna kya hai
mohabbat jurm aisa hai ki mujrim hai khaḌa be-sudh
kiya kya hai gunah kya hai saza kya hai ḳhata kya hai
na aana ishq ke bazar men andhi tijarat hai
diya kya hai liya kya hai bika kya hai bacha kya hai
zamana jhuum uTTha hai sada-e-dad aati hai
na jaane aaj ‘maham’ ne ghazal men kah diya kya hai
Leave a Reply