mohabbat haT rahi hai darmiyan se
zamin Takra na jaa.e asman se
vo manzil saḳht hai har imtihan se
mohabbat ruḳh badalti hai jahan se
hazaron mah-o-anjum hain tah-e-ḳhak
zamin kuchh kam nahin hai asman se
munavvar hain abhi tak vo maqamat
main tere saath guzra huun jahan se
zamin ki pastiyon men kho ga.e hain
zamin Takrane vaale asman se
miri ankhon men aansu to bahut hain
magar daman tira la.un kahan se
zamin ki ḳhaak tak de di zamin ko
main daman jhaaḌ ke uTTha jahan se
maqam-e-ashiyan ki justuju men
guzar ja bijliyon ke darmiyan se
musalsal imtihan hai zindagani
kahin ghabra na jaana imtihan se
banana hai mujhe ḳhud apni manzil
alag huun naqsh-pa-e-karvan se
vahi duniya ulaT dete hain ‘sharib’
jo aksar kuchh nahin kahte zaban se
Leave a Reply