• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mohabbat Hai to Phir Andaza-E-Shauq-E-Wafa Kyon Ho

Mohabbat Hai to Phir Andaza-E-Shauq-E-Wafa Kyon Ho

poet

mohabbat hai to phir andaza-e-shauq-e-vafa kyon ho

shikayat dard ki kyon ho jafaon ka gila kyon ho

kisi ke kaan tak pahunche vo meri iltija kyon ho

bar aana jis ka mumkin ho vo mera mudda.a kyon ho

ye rah-e-ishq hai ai dil ma.al-andeshiyan kaisi

junun hai dastgir apna koi zanjir-e-pa kyon ho

hayat-e-arzu parvarda-e-aghosh-e-tufan hai

jise ho fikr sahil ki vo mera naḳhuda kyon ho

na ye fariyad hogi phir na ye aahen na ye naale

dil-e-nadan mohabbat men haqiqat-ashna kyon ho

vo nazren ḳhaak men jin ko milana bhi nahin aata

unhin nazron se vabasta hamara mudda.a kyon ho

hudud-e-shash-jihat se mavara jab us ke jalve hain

to parvaz-e-mohabbat ta-ba-hadd-e-do-sara kyon ho

ḳhuda ke yaad aane ka baḌa achchha zariya hai

shanasa-e-karam vo bani-e-jaur-o-jafa kyon ho

muhit-e-arsh-o-kursi jab ḳhuda ka zill-e-rahmat hai

‘munir’ apni ḳhata-koshi ki koi intiha kyon ho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sham Aai to Koi KHush-Badni Yaad Aai

allama-iqbal

Jibrail o Iblis

poet

Meri Nigah Mein Hai KHak Sim-O-Zar Ka Fusun

poet

Lakh Ho Mazi Daman-Gir

poet

Ek Dushman Ko baDe Pyar Se Mehman Kiya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet