mila na lafz-e-musibat ko sargirani se
ma.ani khulne nahin mere tarjumani se
hamari nabz men jumbish hai panch hijr ke ba.ad
hamara ishq purana hai ra.egani se
so umr bhar men kisi ko samajh nahin aaya
juda rakha gaya mujh ko mere ma.ani se
kabhi sarab se uThta hua hi mil ja.un
kabhi kabhi to hai mumkin milun na paani se
lihaza markazi kirdar ban gaya huun main
mujhe nikal na paoge ab kahani se
ba-ehtiyat use soche ho gaya arsa
vo mere dhyan men aaya hai be-dhiyani se
tujhe ghazal men pirona hai shaghl ghalib ka
ki tera naqsh banega to sirf ma.ani se
Leave a Reply