mila jo mauqa.a to rok dunga ‘jalal’ roz-e-hisab tera
paḌhunga rahmat ka vo qasida ki hans paḌega itaab tera
yahi to hain do sutun-e-mahkam inhin pe qaa.im hai nazm-e-alam
yahi to hai raz-e-ḳhuld-o-adam nigah meri shabab tera
saba tasadduq tire nafas par chaman tire pairahan pe qurban
nasim-e-doshizgi men kaisa basa hua hai shabab tera
tamam mahfil ke ru-ba-ru go uTha.in nazren mila.in ankhen
samajh saka ek bhi na lekin saval mera javab tera
hazar shaḳhen ada se lachkin hua na tera sa loch paida
shafaq ne kitne hi rang badle mila na rang-e-shabab tera
idhar mira dil taḌap raha hai tiri javani ki justuju men
udhar mire dil ki aarzu men machal raha hai shabab tera
karegi donon ka chaak parda rahega donon ko kar ke rusva
ye shorish-e-zauq-e-did meri ye ehtimam-e-hijab tera
jaḌen pahaḌon ki TuuT jatin falak to kya arsh kaanp uThta
agar main dil par na rok leta tamam zor-e-shabab tera
bhala hua ‘josh’ ne haTaya nigah ka chashm-e-tar se parda
bala se jaati rahen gar ankhen khula to band-e-naqab tera
Leave a Reply