• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Meri KHabar Na Lena Ai Yar Hai Tajjub

Meri KHabar Na Lena Ai Yar Hai Tajjub

poet

meri ḳhabar na lena ai yaar hai ta.ajjub

ji se bache jo mujh sa bimar hai ta.ajjub

vada-ḳhilafiyon se teri hai dil men shub.ha

hove jo hashr men bhi didar hai ta.ajjub

tum kahte ho ki vo aata hai paas tere

us yaar se to yaaro bisyar hai ta.ajjub

hasti se ik nafas ka hai fasla adam tak

tis par bhi hai pahunchna dushvar hai ta.ajjub

kaafi na tha tumhare abru ka ik ishara

khinchi jo ashiqon par talvar hai ta.ajjub

sau baar din-o-iman gum ho.e to ajab kya

TuuTe jo ahd-e-ulfat ik yaar hai ta.ajjub

kyunkar kaTegi yarab auqat gham-zadon ki

koi nahin jahan men gham-ḳhvar hai ta.ajjub

naseh mira gareban siine ka fikr mat kar

sabut us men paana ik taar hai ta.ajjub

pamal dil kiye hain aalam ke har qadam men

sikhi ye tum ne kis se raftar hai ta.ajjub

gaali hui hai ab to takiya-kalam tera

sidhi zaban kasu se guftar hai ta.ajjub

islam men ye kaisa inkar kufr se hai

tasbih men piro.e zunnar hai ta.ajjub

divana hai ‘muhib’ tu teri shikasta-hali

dekhe jo aankh uTha kar dildar hai ta.ajjub

har baat men jo kahiye majbur hai qabahat

insan ko gar samjhiye muḳhtar hai ta.ajjub

kuchh gu-magu hai yaaro ye amr bandagi ka

afkar hai achambha iqrar hai ta.ajjub

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

bashir-badr

Main Kab Tanha Hua Tha Yaad Hoga

Sufi

Zamane Ho Gae Tere Karam Ki Aas Lagi

poet

Ye Chhu Kar Mujhe Kaun Jaane Laga

Tu Hai Aur Aish Hai Aur Anjuman-Arai Hai

Tazad-E-Fitrat Nafas Nafas Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet