• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mere Wajud Ke dozaKH Ko Sard Kar Dega

Mere Wajud Ke dozaKH Ko Sard Kar Dega

mire vajud ke dozaḳh ko sard kar dega

agar vo abr-e-karam hai to khul ke barsega

gila na kar ki hai aghaz-e-shab abhi pyare

Dhalegi raat to ye dard aur chamkega

qadah ki ḳhair sunao ki ab ke barish-e-sang

agar hui to tarab-zar-e-shab bhi Dubega

ye shahr-e-kam-nazaran hai idhar na kar ankhen

yahan ishara-e-mizhgan koi na samjhega

main us badan men utar ja.unga nashe ki tarah

vo ek baar agar phir palaT ke dekhega

ravan to huun su-e-aflak-e-arzu lekin

ye zor-e-mauj-e-hava bazuon ko toḌega

agar hai shauq-e-asiri to muund le ankhen

tu umr bhar dar-o-divar bhi na dekhega

talash-e-qafila-e-zindagi hai ab be-sud

ye rah-guzar-e-nafas par kahin na Thahrega

na aankh men koi jumbish na paanv par koi gard

jahan se itna bhi mohtat kaun guzrega

rahegi dil men na jab koi bhi ḳhalish ‘mohsin’

bhula chuka hai jise tu use pukarega

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tamam Husn-O-Maani Ka Rang uDne Laga

poet

Dast-E-Wahshat Mein Gareban Sa Hun

KHuda Ke Aage Jab Fariyaad Rakhna

Zahir Ko Aaj Talta Hun

Gardish Mein Chashm-E-Dost Ka Paimana Aagya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet