mire qarib hi mahtab dekh sakta tha
ga.e dinon men ye talab dekh sakta tha
ik aise vaqt men sab peḌ main ne naql kiye
jahan pe main inhen shadab dekh sakta tha
ziyada der usi naav men Thaharne se
main apne-ap ko gharqab dekh sakta tha
koi bhi dil men zara jam ke ḳhaak uḌata to
hazar gauhar-e-nayab dekh sakta tha
kahaniyon ne miri adaten bigaḌ di thiin
main sirf sach ko zafar-yab dekh sakta tha
magar vo shahr kahani men rah gaya hai dost!
jahan main rah ke tire ḳhvab dekh sakta tha
Leave a Reply