mire nasib ka likkha badal bhi sakta tha
vo chahta to mire saath chal bhi sakta tha
ye tu ne Thiik kiya apna haath khinch liya
mire labon se tira haath jal bhi sakta tha
uḌati rahti hai duniya ghalat-salat baten
vo sang-dil tha to ik din pighal bhi sakta tha
utar gaya tira gham ruuh ki fazaon men
ragon men hota to ankhon se Dhal bhi sakta tha
main Thiik vaqt pe ḳhamosh ho gaya varna
mire rafiqon ka lahja badal bhi sakta tha
ana ko dhuup men rahna pasand tha varna
tire ghurur ka suraj to Dhal bhi sakta tha
ragaḌ saki na miri pyaas eḌiyan varna
har ek zarre se chashma ubal bhi sakta tha
pasand aa.i na TuuTi hui fasil ki raah
main shahr-e-tan ki ghuTan se nikal bhi sakta tha
vo lamha jis ne mujhe reza-reza kar Daala
kisi ke bas men jo hota to Tal bhi sakta tha
Leave a Reply