mire miTne pe gar tu bhi miTa hota to kya hota
tujhe bhi sabr ai dil aa gaya hota to kya hota
chale aate hain lakhon sarfaroshi ki tamanna men
tira kucha agar darushshifa hota to kya hota
adam se main na aata is jahan men gham uThane ko
agar hasti mujhe tera pata hota to kya hota
tujhi pe munsifi hai le tu hi insaf se kah de
agar teri tarah main bevafa hota to kya hota
sitare kyuun dikhati mujh ko din bhar meri nakami
vo shab ko mal ke afshan aa gaya hota to kya hota
sar-e-shorida ko main pattharon se phoḌta phirta
but-e-kafir jo tu mera ḳhuda hota to kya hota
sabat us ko nahin phir bhi fida hai hazrat-e-insan
jo ye dar-e-fana dar-e-baqa hota to kya hota
kisi ke paas rah kar bhi taḌapte hijr men ‘nadir’
hamen jannat men bhi kuchh aasra hota to kya hota
Leave a Reply