mere mahbub mire dil ko jalaya na karo
saaz chheḌa na karo giit sunaya na karo
jaao abad karo apni tamannaon ko
mujh ko mahfil ka tamasha.i banaya na karo
meri rahon men jo kanTe hain to kyuun phuul milen
mere daman ko ulajhne do chhuḌaya na karo
tum ne achchha hi kiya saath hamara na diya
bujh chuke hain jo diye un ko jalaya na karo
mere jaisa koi pagal na kahin mil jaa.e
tum kisi moḌ pe tanha kabhi jaaya na karo
ye to duniya hai sabhi qism ke hain log yahan
har kisi ke liye tum aankh bichhaya na karo
zahr-e-gham pi ke bhi kuchh log jiya karte hain
un ko chheḌa na karo un ko sataya na karo
Leave a Reply