mere lahu men us ne naya rang bhar diya
suraj ki raushni ne baḌa kaam kar diya
hathon pe mere apne lahu ka nishan tha
logon ne us ke qatl ka ilzam dhar diya
gandum ka biij paani ki chhagal aur ik charagh
jab main chala to us ne ye zad-e-safar diya
jaaga to mahtab ki kunji sirhane thi
main ḳhvab men tha jab mujhe raushan nagar diya
us ko to us ke shahr ne kuchh bhi diya nahin
aur us ne phir bhi shahr ko tohfe men sar diya
mera badan to radd-e-amal men ḳhamosh tha
meri zaban ne zaiqa-e-ḳhushk-o-tar diya
vo harf-ashna hai mujhe ye guman na tha
us ne to sab ko naqsh-ba-divar kar diya
yuun bhi to us ne hausla-afzai ki miri
harf-e-suḳhan ke saath hi zaḳhm-e-hunar diya
aḳhtar yahi nahin ki mujhe bal-o-par mile
us ne to umr bhar mujhe ehsas-e-par diya
Leave a Reply