kuchh shoḳh hasinaon si rangin kitaben
din-rat mujhe deti hain taskin kitaben
insan hi tazlil kiya karta hai in ki
karti nahin insan ki tauhin kitaben
sikha hai faqat in se hi jiine ka saliqa
tahzib-o-tamaddun ki hain aa.iin kitaben
jab gham se main ghabra ke taḌap jaata huun aksar
karti hain mujhe sabr ki talqin kitaben
is nuur se mamur azal se huun ‘sharar’ main
iman kitaben hain mira diin kitaben
Leave a Reply