Mere KHush-Aind-Mustaqbil Ka Paighambar Bhi Tu

mere ḳhush-ā.ind-mustaqbil kā paiġhambar bhī tū

merī barbādī kā merī jaan pas-manzar bhī tū

tū ki fitrat kī tarah hai kis tarah tasḳhīr ho

yaar ḳhush-manzar bhī tū ziddī bhī tū ḳhud-sar bhī tū

ik tazād-e-husn-e-ma.anī hai tirī ta.amīr meñ

dastaras meñ bhī giraft-e-vaqt se bāhar bhī tū

tere chehre se ayaañ us ke na milne kā alam

ḳhush-nazar aatā nahīñ us shaḳhs se mil kar bhī tū

mere fan kī saarī zebā.ish tirī nisbat se hai

jo chhupā hai mere sheroñ meñ vo dānish-var bhī tū

ruuh to pahle bhī thī ab ke badan bhī hai asiir

ab to yuuñ lagtā hai jaise ho mirā paikar bhī tū

tū hī sañg-e-mīl hai apne liye sultān-‘rashk’

apne hī raste meñ jo haa.il hai vo patthar bhī tū

Leave a Comment