mire bachche mujhe meri baqa ke isti.are hain
ye meri zindagi ke chand suraj aur taare hain
ye ham ne kab kaha hai tum hamare hi hamare ho
yaqinan ye kaha hai ham tumhare hi tumhare hain
ajab ik silsila hai aag paani ka mire andar
miri ankhen ki dariya hain miri sansen sharare hain
kaha to hai ḳhushi teri to gham saare mohabbat ke
hamare hain hamare hain hamare hain hamare hain
hamare paas vo ujḌa hua har baar hi aaya
lab-o-ruḳhsar-o-ariz barha us ke sanvare hain
hai qimat in dinon joban pe pindar-e-marasim ki
so girvi rakh ke jism-o-jan ko ye qarze utare hain
‘na.im’ us ko mubarakbad us ki jiit par dil se
use ye kya pata hai kis tarah ham us se haare hain
Leave a Reply