mera saaya bhi agar bab-e-tarab tak aaya
kahna badnam-e-zamana tha nasab tak aaya
dhund hi dhund thi har samt phir ik samt se main
samne dikhta hua apne aqab tak aaya
bad-nasibi men yahi baat buri hai yahi baat
koi bhi zahr nahin meri talab tak aaya
haath aa.i hui ik mauj-e-fana phail ga.i
jab koi jhonka tire jan-ba-lab tak aaya
sharm se bhigi hui poron men aTka hua jhuuT
kabhi peshani tak aaya kabhi lab tak aaya
Leave a Reply