mira mazmun savar-e-tausun-e-tab-e-ravan ho kar
zamin-e-sher par phirta hai goya asman ho kar
khaTak jaate hain chashm-e-barq men mera nishan ho kar
ghazab Dhate hain ya.ani chand tinke ashiyan ho kar
sun ai josh-e-junun taqlid-e-majnun ki nahin achchhi
mabada ham bhi rah jaa.en kisi din dastan ho kar
dama-dam sho.abde ham ko dikhata hai koi jalva
kahin shaiḳh-e-haram ho kar kahin pir-e-mughan ho kar
in ankhon se bahar-e-bagh-e-duniya dene vaalo
ye ankhen rang la.engi kisi din ḳhun-fishan ho kar
aji kya sham.a kya parvana donon jal bujhe aḳhir
koi atish-fishan ho kar koi atash-bajan ho kar
ḳhuda mahfuz rakkhe ye hasin dil le hi lete hain
kisi par mehrban ho kar kisi se sargiran ho kar
na paaya aur kuchh bhi juz ḳhuda ka.abe men ai ‘aḳhtar’
bahut nadim hue ham but-kade se bad-guman ho kar
Leave a Reply