mira ji hai jab tak tiri justuju hai
zaban jab talak hai yahi guftugu hai
khuda jaane kya hoga anjam is ka
main be-sabr itna huun vo tund-khu hai
tamanna tiri hai agar hai tamanna
tiri aarzu hai agar aarzu hai
kiya sair sab ham ne gulzar-e-duniya
gul-e-dosti men ajab rang-o-bu hai
ghanimat hai ye diid va did-e-yaran
jahan aankh mund gai na main huun na tu hai
nazar mere dil ki padi ‘dard’ kis par
jidhar dekhta huun vahi ru-ba-ru hai
Leave a Reply