• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mera bichhDa Ranjhan moD Sajan

Mera bichhDa Ranjhan moD Sajan

mira bichhḌa ranjhan moḌ sajan

mujhe chaah na koi aur sajan

main ne oḌha rang-e-siyah faqat

diye kangan chuḌi toḌ sajan

main ne tujh se sachcha ishq kiya

di saari duniya chhoḌ sajan

tiri yaad se bahar niklun main

mujhe aa kar yuun jhinjhoḌ sajan

main har dargah pe ja.ungi

ho sindh ho ya lahore sajan

koi dhaga tujh se joḌe to

minnat ki bandhun Dor sajan

chal mujh se ishq dobara kar

chal phir se naata joḌ sajan

chal naam na de ik shaam hi de

miri baat pe kar kuchh ghaur sajan

tu ne manga hijr-e-juda.i bas

kuchh maang ke takta aur sajan

mira jurm mohabbat hai sa.in

main huun zinda-dargor sajan

tiri diid mira hajj-e-akbar

tira naam paḌhun har por sajan

tujhe meri baat ka maan nahin

ja rahne de bas chhoḌ sajan

kyuun harja.i ko yaad kare

chal chhoḌ ‘kanval’ bas chhoḌ sajan

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sukun-E-Dil Mein Wo Ban Ke Jab Intishaar Utra to Maine Dekha

poet

Aarastgi Badi Jila Hai

Dil Rahega Yunhi Betab Nazar Aata Hai

Hamein Dekha Na Kar uDti Nazar Se

azra-naqvi

Kisi Ehsas Mein Pahli Si Ab Shiddat Nahin Hoti

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet