maza lams ka be-zabani men tha
ajab za.iqa ḳhush-gumani men tha
miri vus.aton ko kahan janta
vo mahv apni hi be-karani men tha
miTate rahe avvalin yaad ko
ki jo naqsh tha naqsh-e-sani men tha
bahut der tak log sahil pe the
safina mira jab ravani men tha
hamin se na adab barte ga.e
saliqa bahut mezbani men tha
mai-e-kohna men tha nasha-dar-nasha
magar jo maza taaza paani men tha
hamen vo hamin se juda kar gaya
baḌa zulm is mehrbani men tha
safar men achanak sabhi ruk ga.e
ajab moḌ apni kahani men tha
Leave a Reply