dastiyab us ko hua jab se hai gul-dasta-e-dagh
bulbul-e-dil ka nahin milta hai zinhar dimagh
halqa-e-zulf se us ki jo ayaan hain aariz
shab-e-tarik men goya ki farozan hai charagh
gar farogh-e-rukh-e-janana madad-farma ho
gham-e-kaunain se ho jaave vahin dil ko faragh
fazl-e-izad se mubarak rahe ai vaiz-e-shahr
kucha-e-yar hamen aur tujhe firdaus ka baagh
mast-e-ishq-e-shah-e-khadim huun main ‘asim’ yaksar
jis ne bakhsha hai mujhe bada-e-irfan ka ayagh
Leave a Reply